Lut Gye song lyrics By Jubin Nautiyal: One of the most trending songs titled Lut Gye has sung by Jubin Nautuiyal and lyrics written by Manoj muntashir. The music of Lut Gaye Song is composed by Tanishk Bagchi and video directed by Radhika Rao, Vinay Sapru. Lut Gaye Song Feature by Emraan Hashmi and Yukti Thareja.

Lut Gaye Song Details | Jubin Nautiyal | Emraan Hashmi | Manoj Muntashir

Song Name – Lut Gaye

Singer – Jubin Nautiyal

Music – Tanishk Bagchi

Lyrics – Manoj Muntashir

Music Lab –

Video Director – Radhika Rao, Vinay Sapru

Feature by – Manoj Muntashir, Yukti Thareja

Label – T-Serieslut gaye song lyrics

Jubin Nautiyal: Lut Gaye Song Lyrics

Maine jab dekha tha tumko
Raat bhi woh yaad hai mujhko
Taare ginte ginte so gaya

Dil mera dhadka tha kass ke
Kuchh kaha tha toone hans ke
Main ussi pal tera ho gaya

Aasmanon pe jo khuda hai
Uss se meri yahi dua hai

Chand yeh har roz main dekhoon
Tere sath mein
Ankh uthi mohabbat ne angdai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuchh aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho ankh uthi

Paanv rakhna na zameen par

Jaan ruk jaa tu ghadi bhar

Thode taare to bichha doon
Main tere vaaste

Aazma le mujhko yaara
Tu zara sa kar ishaara
Dil jala ke jagmaga doon
Main tere vaaste

Mere jaisa ishq mein paagal
Phir mile ya na mile kal
Sochna kya hath yeh dede
Mere hath mein

Ankh uthi mohabbat ne angdai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuchh aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho ankh uthi

Haan kisse mohabbat ke
Hain jo kitabon mein
Sab chahta hoon main
Sang tere dohrana

Kitna zaruri hai
Ab meri khaatir tu
Mushkil hai mushkil hai
Lafzon mein keh paana

Ab to yeh alam hai
Tu jaan mange to
Main shauk se de doon
Saugaat mein

Ankh uthi mohabbat ne angdai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuchh aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakaat mein
Ho ankh uthi

Lut gaye hum to teri mohabbat mein